Bhagavad Gita: अध्याय 2 की सीख

Bhagavad-Gita ka doosra adhyay “Sankhya Yoga” ke naam se jaana jata hai. Yeh adhyay sabse important hai kyunki yahi se Bhagwan Shri Krishna Arjuna ko sachcha gyaan dena shuru karte hain. Pehle adhyay me Arjuna moh aur shanka me tha, lekin ab Krishna usse aatma, karma aur gyaan ka asli tattva samjhate hain.

 


अध्याय 2: संख्यायोग – आत्मा का अमरत्व और कर्म का सिद्धांत


Jab Arjuna yudh na karne ka faisla le chuka hota hai, tab Bhagwan Shri Krishna use Gita ka asli gyaan dena shuru karte hain.

Sabse pehle, Krishna Arjuna ki soch ko badalne ki koshish karte hain aur usse kehte hain:

“Ashochyan anvashochastvam prajnavadamscha bhashase,

Gatasun agatasumscha nanushochanti panditah.”


(Bhagavad-Gita 2.11)

Arth: Tum un cheezon ka shok kar rahe ho jo shok karne layak nahi hain. Buddhiman vyakti jeevit ya mare hue kisi ka shok nahi karte.

Krishna yeh kehna chahte hain ki jo cheezin badli nahi ja sakti, unka shok karna bekaar hai.


1. आत्मा न जन्म लेती है, न मरती है

Krishna kehte hain:

“Na jayate mriyate va kadachin,

Nayam bhutva bhavita va na bhuyah.” (Bhagavad-Gita 2.20)

Atma na kabhi janm leti hai, na kabhi marti hai. Wo nirvikar aur amar hai. Sirf shareer mitta hai, lekin atma sadaiv bani rehti hai.


2. मौत ka dar bekaar hai

Arjuna yudh nahi karna chahta kyunki usse lagta hai ki wo apne mitron aur parivaar walon ko maar dega. Lekin Krishna samjhate hain ki koi kisi ko maar nahi sakta, kyunki asli roop me koi marti hi nahi.

Jise hum “maut” samajhte hain, wo sirf shareer ka badalna hai – jaise ek purane kapde ko naya pehena jata hai.


3. धर्म और कर्तव्य सबसे ऊपर hai

Bhagwan Krishna Arjuna se kehte hain ki tum ek kshatriya ho aur yudh karna tumhara kartavya hai.

“Svadharme nidhanam shreyah, paradharmo bhayavahah.” (Bhagavad-Gita 2.35)

Arth: Apne dharm (kartavya) me marna bhi shreshth hai, doosron ka dharm apnana dar ka kaaran banta hai.

Yeh ek bahut badi seekh hai. Aaj ke samay me bhi, agar hum apni zimmedariyan chhod dete hain ya dar ke karan kisi kaam se peechhe hat jate hain, to hum kabhi safal nahi ho sakte.


4. कर्म करो, फल ki chinta mat karo

Bhagavad-Gita ka sabse prasiddh shlok isi adhyay me aata hai:

“Karmanye vadhikaraste, ma phaleshu kadachana.” (Bhagavad-Gita 2.47)

Arth: Tumhare adhikaar sirf karm karne me hain, fal me nahi.

Yeh shlok jeevan ka ek mahan siddhant hai. Aaj har vyakti fal ki chinta karta hai aur karm ko bhool jata hai. Krishna hume yeh seekh dete hain ki:

Safalta aur asafalta par dhyaan dene ki jagah apne kaam par dhyaan do.

Jo best efforts de sakte ho, wo do, par result ki fikar mat karo.

Jis din tum sirf apne kaam par focus karna seekh jaoge, us din tum sach me jeet jaoge.


आज की जिंदगी में क्या सीख सकते हैं?

Maut ka dar bekaar hai. Hum sab ek din apna shareer chhodenge, to kyon na bina bhay ke jeevan jiya jaye?

Apne kartavya (duty) ko pehchano. Jo kaam tumhare zimmedari me hai, use karo bina kisi dar ke.

Karm karo, result ki tension mat lo. Success ka ek hi formula hai – Best effort do, aur Bhagwan par chhod do.

Back to blog

Leave a comment

Please note, comments need to be approved before they are published.